Jaam pe jaam peene se kya fayeda,
Raat guzri to utar jayegi,
Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,
Umr saari nashe mein guzar jayegi.
Badi muddat se chaha hai tumhe
Badi duaaon se paya hai tumhe
Thuje bhulane ka sochu bhi kaise,
Kismat ki lakiroon se churaya hai tumhe.

Suna hai wo keh kar gaye hai ke ab to hum,
Sirf tumhare khawboo main hi aayenge,
Koi keh de unse ki wo vada kar le
Hum jindagi bhar ke liye so jayenge.

Hame hasne hasane ki adat hai,
Nazron se nazren milane ki aadat hai,
Par hamari nazar to unse hai ja mili,
Jinhe nazren jhuka ke sharmane ki adat hai

Mohabbat ki shamma jalake to dekho,
Zara dil ki duniya saja kar to dekho,
Tumhe ho na jaaye mohabbat to kehna,
Zara humse nazaren milake to dekho.

Haste rahen aap hazaron ke beech mein,
Jaise haste hein phool baharon ke beech mein,
Roshan ho aap duniya mein iss tarah,
Jaise hota hai chand sitaron ke beech mein.

Tufaan mein kashti ko kinare mil jate hain,
Jahan mein logon ko sahare mil jate hain,
Duniya mein sabse pyari hey zindagi,
Kuch log zindagi se bhi pyare mil jate hain.

Dil ko dil se churaya hai aapne,
Door hote huye bhi apna banaya hai aapne,
Kabhi bhool nahi payenge aap ko,
Kyonki pyaar karna sikhaya hai aapne.

We have 76 guests and no members online