Print
Category: Love Shayari
Hits: 2694

Dil Ki Nazuk Dhadkano Ko
Mere Sanam Tumne Dhadakna Sikha Diya
Jab Se Mila Hai Tera Pyaar Dil Ko
Gum Me Bhi Muskurana Sikha Diya.


Humne socha tha ki shayad, hum hi chahte
hai tumko,
par tumhe chahne wala to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar khuda se,
par khuda bhi tera chahne wala nikla.


Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi,
Woh Mohabbat hi kya jisme Yaadein nahi,
Woh Yaadein kya jisme Tum nahi,
Aur woh Tum hi kya jiske saath Hum nahi.


Maine khuda se ek dua mangi,
dua me apni maut mangi,
khuda ne kaha maut to tujhe de dun,
par uska kya jisne har dua me teri jindgi
mangi.


jaan hai hume jaan se pyari,
Jaan k liye chhod du dunia sari
Jaan k liye chhod du rasme sari,
ab tumse kya chupana,
tum hi to ho jaan hamari.


Paani ko patthar na maro use bhi koi pita
hai,
Jina hai to muskurakar jiyo, tumhe dekhkar
koi aur bhi jita hai.


Khoob aati hai jab
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n
mai.n,
Teri soorat ubhar K aati hai


Wo din din nahi, wo raat raat nahi,
wo pal pal nahi, jis pal teri Yaad nahi,
teri yadon se maut hame alag kar sake,
maut ki bhi ye aukat nahi.


Na gujarna eid k din kisi masjid k pas se,
kahin log chand samajh kar roja na tod de,
hokar khafa khuda tumse kahi…..


Phuulo ki tarah hansti raho,
Kaliyoun ki tarah muskurati raho,
Khuda se sirf itna mangta hoon…..
ki tum mujhe hamesha yaad aati raho.


Ye Dil tere liye beqarar aaj bhi hai,
Meri aankh ko tera intizar aaj bhi hai,
Tu aayegi ye umeed hai mujhe…..
Tujh ko pane k liye ye tera deewana aaj bhi
hai.


Yaad karte hain tumhein tanhayi mein,
Dil duuba hai gamo ki gehrayi mein,
humein mat dhundna dunia ki bheer
mein,
hum Milenge tumhein tumhari parchayi
mein.


Nazro se shuru hota hai Pyaar,
do Dilo me ek sath panapta hai Pyaar,
Jo Mumkin nahi hai karna is duniya me,
Aise namumkin kaam bhi kar dikhata hai
Pyaar.


Hasrat hai sirf tumhe pane ki,
aur koi khawahish nahi is Dewane ki,
shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai…..
kya zarurat thi tumhe itna khuubsurat
banane ki.


Hum aap ko kabhi khone nahi denge,
juda hona chaha to bhi hone nahi denge,
Chandni raton me ayegi meri yaad…..
meri yaad k wo pal aap ko sone nahi
denge.


Raat ko raat ka tohfa nahi dete,
dil ko jazbaat ka tohfa nahi dete,
hum tu tumhe chand bhe de dete…..
magar Chand ko Chand ka tohfa nahi
dete…..!


Talaash Karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarah tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe
dekhega…..
Magar ankhein hamari kahan se layega…..!


Ga saku apka nagma wo saaz kaha se lau,
suna Saku Kuch aapko, wo andaz kaha se
Lau,
Yu to Chaand taro ki tarif karna aasan hai,,
Kar saku aapki tarif wo alfaz kaha se
lau…..!


koi gila na koi shikwa rahe aapse
ye aarzoo hai ek silsila bana rahe aap se
bas ek baat ki umeed hai aapse
khafa na hona agar hum khafa rahain aap
se.


Nigahen aapki pehchan hai hamari,
Muskarahat aapki shan hai hamari,
Karna hifazat tum apni…..
Kyounki sanse tumhaari jaan hain
hamari…


Hame itna pyar mat karna ki,
duniya me mashhoor ho jaye
aur na hi itna bewafa banana…..ki
hum duniya ko chhodne k liye majboor ho
jaye.


kya mangu khuda se tumhe pane k baad.
kiska karu intzar zindgi me tere aane k
baad.
kyun pyar me jaan luta deta hai log…..
mujhe maloom hua tumhe apna banane k
baad.


Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bohat chahat hai……..
par milne k baad judaai se darte hain


Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi..
tujh se mile zamana hua magar…
yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi..


Chehre pe haseen chha jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.


kya mangu khuda se tumhe pane k baad.
kiska karu intzar zindgi me tere aane k
baad.
kyun pyar me jaan luta deta hai log…..
mujhe maloom hua tumhe apna banane k
baad.


Yaad mein teri aanhe bharta hai koi,
har saans k saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai…..
lekin teri judaai mein har roz marta hai
koi….!


Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi..
tujh se mile zamana hua magar…
yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi..


Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hai..
duur reh kar bhi kareeb hote hai…
jo log aapko roz dekhte hai..
woh log kitne khushnaseeb hote hai..